Saturday, 29 December 2012

Insaan nazar aate ho..

Muddat ho gayi ek aisa chehra dekhe...jise dekh dil keh uthe..
Khudgarzi ki bheed mein tum insaan nazar aate ho..

Ishq ko sauda samaj betha..

Zindagi ka waada tha uski muskaan ke badley mein..
Wo mere ishq ko sauda samajh, aage badh gaya..

Thursday, 11 October 2012

Mera zikr bhi napasand...

Koi shaqs gunaah krke bhi uske dil mein hai...
Maine mohabbat ki...main kisi ke zikr mein bhi napasand hu...

Saturday, 18 August 2012

Mohabbat : ek khoobsurat naam

Kuch nakaam umeedein, kuch ankahee baatein, ik toota dil, ik tanha zindagi......
Isi ka khoobsurat naam mohabbat hai...

Friday, 20 January 2012

kuch to ishq ka bhi dakhal hai..

kuch to ishq ka bhi dakhal hai us mein warna...
koi khoobsurat itna khoobsurat nahin hota...

Monday, 26 December 2011

zindagi ki talaash mein...

Zindagi ki talaash mein ek aur karwaan chhoot gaya...
yeh mohhabbat, yeh ruswayi, yeh wafaa yeh bewafaai..lo aaj fir ek deewana toot gaya..

Thursday, 17 November 2011

Uljhi uljhi si kahaniyan

Kuch uljhi uljhi si kahaniyan hai teri..
wahi to meethi si pareshaniyan hai meri.


bhula na sakun ek lamhaa bhi tera..
kuch aisi hi dilkash manmaaniyan hai teri.


hulchaul to tere jahaan mein bhi hoti hogi, meri hichki ki khatir..
kuch aisi hi deewani si badgumaaniyan hai meri.


rubaroo hokar bhi tu nazaren churane mein kamyab ho jata hai..
kuch aisi hi shararat bhari bemaniyan hai teri.


yun anjaan sa bane rehna teri fitrat ho shayad..
par samandar si gehri tujhse judi zindgaaniyan hai meri


phiki pad gayi hongi mere khaton ki syaahi ab tak to..
par ek zamaane se zinda is dil mein beshumar nishaaniyan hai teri.


dua hai tujhe naseeb ho is jahaan ki har mumkin muskan..
meri lie teri yaadon mein doobi udaasiyan hai meri.


kuch uljhi uljhi si kahaniya hai teri..
wahi to meethi si pareshaniyan hai meri.