Saturday 29 December 2012

Khone deta bhi nahi..

Wo kambakth sota bhi nahi ..
Sone deta bh nahi..

Ek oar udaasiyon mein lipti yaaden hai..
Ek oar mera waada us se..rone deta bhi nahi..

Wo mujh mein samaya is kadar ke maano aayina ho mera..
Mera ho kr bhi wo muje apna hon deta bhi nahi..

Yun to muddaten hogayi..use meara naam liye hue..
Yun wo muj par haq jataa..muje khone deta bhi nahi..

Mohobbat asaan hai...

Uski khwahishon ki bulandiyan sir karne mein bohot thakaan hai..
Na jaane kon keh gaya tha mujhse ke mohobbat asaan hai..

Usne gharonde se mehel tak ka safar kr liya dualat ke sahaare..
Maine ishq kia hai..aaj bhi jhar jhar krta mera makaan hai..

Muft wo bhi deta hai...kanjoos hum bhi nhi..
Usey daulat ka gumaan hai..mujh par zamaane ke ehsaan hai..

Uski berukhi bhi heerey moti sone si keemati hai..
Mera dil..meri ishq..meri zindagi...jaaney do yaaron..ye sastee dukan hai..

Dilbaron ka hujoom rehta hai kareeb uske har lamha..
Yahan har lamhe mein meri zindagi veeran hai..

Khudgarz hai wo, jo meri yaaden tak na saath le gaya..
mujh mein simati uski yaaden or, uski yaadon mein simta mera yeh jahan hai..

Na jaane kon keh gaya tha mujhse ke mohobbat asaan hai.. 

Ye shouk ragon mein utar gaya hai teri..

Main waakif hu tere is berukhi ke andaaz se...
Yeh purana shouk hai...ragon mein utar gaya hai teri...

Insaan nazar aate ho..

Muddat ho gayi ek aisa chehra dekhe...jise dekh dil keh uthe..
Khudgarzi ki bheed mein tum insaan nazar aate ho..

Ishq ko sauda samaj betha..

Zindagi ka waada tha uski muskaan ke badley mein..
Wo mere ishq ko sauda samajh, aage badh gaya..