Thursday 17 November 2011

Uljhi uljhi si kahaniyan

Kuch uljhi uljhi si kahaniyan hai teri..
wahi to meethi si pareshaniyan hai meri.


bhula na sakun ek lamhaa bhi tera..
kuch aisi hi dilkash manmaaniyan hai teri.


hulchaul to tere jahaan mein bhi hoti hogi, meri hichki ki khatir..
kuch aisi hi deewani si badgumaaniyan hai meri.


rubaroo hokar bhi tu nazaren churane mein kamyab ho jata hai..
kuch aisi hi shararat bhari bemaniyan hai teri.


yun anjaan sa bane rehna teri fitrat ho shayad..
par samandar si gehri tujhse judi zindgaaniyan hai meri


phiki pad gayi hongi mere khaton ki syaahi ab tak to..
par ek zamaane se zinda is dil mein beshumar nishaaniyan hai teri.


dua hai tujhe naseeb ho is jahaan ki har mumkin muskan..
meri lie teri yaadon mein doobi udaasiyan hai meri.


kuch uljhi uljhi si kahaniya hai teri..
wahi to meethi si pareshaniyan hai meri.

3 comments: